Thursday 20 November 2014

Poem has been published in Hyderabad's News Paper - Bharat Ki Paramparik Deepawali !!

                                                              Bharat Ki Paramparik Deepawali 


Melon me rango ki chamak,
thelon me deepak ki damak,
gharon ki manmohi sajawat,
grahidiyon ki ullas bhari thakawat..

kya mahima hai us vidhata ki,
har praani ko wahi banata hai,
koi choomta watan ki maati,
to koi nanhon se bheekh mangwata hain..

khushi k parwane hum,
apne gharon me dheron diye jalate hain,
masti me doobe hum,
kapdon aur patakhon me rupaye ganwate hain..

man swach ho ya na ho,
gharon me sunhari laden jalate hain,
aur thaat se kahte hain ki,
hum deepawali manate hain..

ek sipahi waha,
jo pariwar se door,
bharat ki sarhad par 
ek diya jalata hai

ek raahi waha,
jo hai halaat aur garibi se majboor
choti si jhopadi me bus ek diya jalata hai,

dua karen hum watan ki raksha k liye,
karen soone gharon ki rakhwali,
tabhi sarthak hai lakshmi pooja
tabhi manegi paramparik diwali !!

2 comments :